Thursday, September 22, 2011

Yojna ayog ki garibi ki paribhasha PUNJIBADI NICHTA ka asali chehra

bharat ka yojna ayog ne des me garibi rekha ki aaya sima sambandhi sapath patra jo suprime court me dakhil kiya hai, oh na sirf punjibadi nichta ka asli chehra hai, balki punjibadi marg par chalnewale hamare des k kanoon k anusar bhi, ek apradhik karya hai ,Jiske anusar court ko swaim sangyan lekar sapath dayar karne wale par apradhik mukdma chalakar dandit karna chahiye, taki koi itni besharmi se court ko gumrah karne ki himmat nahi kar sake.Garibi or daridrta jo isi punjibadi vyawastha k loot or bibhedpurn batware ka parinam hai ko chhipane k liye bahut hi ghatiya dhang se garibo ka majak udaya gaya hai jiske khilaf garivo me jan ubal aana chahiye or mazak udane wale ko unki aukat bata deni chahiy.
21 sitambar ko suprim court ko diye gaye sapathpatra me yojna ayog ne apne samajik dayityon se sarrr se nikaljane k liye sharminda karnewale andaj me garibi rekha ki jo aaye sima,sahari chhetra me 32 rupaye or dehati chhetra me 25 rupaya pratidin bataya hai jisme khana,shikchha,or swastha ki jarurat puri hone ki bate hai uski sabatra ninda ho rahi hai. Yojn ayog jiske adhyakchha kathit bade arthshastri or des k P M Manmohan singh hain or Upadhyakchha unhi k pasandida montek singh ahluwalia hai ne aisa sharminda karnewala sapath patra dene ki swikriti di hai un par to kort ko gumrah karne or galat sapaath patra dayar karne ke liye I.P.C. ki dhara 195 me mukadma dayar karne ke liye andolan kiya jana chahiye,jisme 7 sal ki saza ka prawadhan hai.Parantu ise media me tatkal bahas ka mudda banakar bade bade muddo se aam janta ka dhyan hatakar un par hamla karne me madat karne ka lagta hai.Ah sahi hai ki bich -bich me media apani viswasniyata banaye rakhane ke liye or kabhi-kabhi kamptison ki mazboori me jan hit k bat kar leti hai lekin esthiti sasan vyawastha k hath se nikal nahi, jaye iske liye apane barghit ke prati zagruk bhi rahti hai. Durbhagya se sahari -gramin garibo me bhi bartman daur me kafi bharam hai ki unka asli subhchintak kaun hai.Ahi karan hai ki UPA-1 kal me bina kisi lobh lalach ya pad liye des or janhit me janata ka pahredar ki bhumika me rahkar kai muddo par sarkar ko janhit me kuchh kam karne ko majboor kiya jiska kuchh labh mila par prachar tantra ke dusprachar k karan uska bhi shreya majboori me kam karne wali kangresi sarkar ne le liya .DES hit me sarkar se samarthan wapas lenewali vampakchh ko 2009 ke chunao me janata ne bhi vikalp nahi mana or aaz left ke kamzoor hone ka fayda besharmi se uthaya ja raha hai.
Ah kahana pasangik hoga ki 1990 k bad k dasak me NEP ke sansthapak ,jisme LPG SE DES K VIKAS KO teji se aage badhane ki wakalat ki ja rahi thi, aaz ohi bharstachar ki gangotri sabit hui hai.pahle bhi ghaple ghotale hote the jisme lakh-karor ka ghapla bada ghapla mana jaa tha,parantu ab hajaro-lakho karor ke ghapale badi besarmi se ho rahe hai,jisme congress or bjp alag-alag dhang se sammilit hai or wahi noora kusti kar apane midia mitro ke sahare naya vikalp bhi dhundh rahi hai.
Bartman daur me des ki rajniti me kounsa mudda pramukhta se rashtra ke bahas ka mudda hai?Wastao me is dasak ki suruat ki pristabhumi medo tin bate mahatwapurna hai.2009 k loksabha chunao me des k kaledhan ka mudda utha ,parantu chunao ko bahut prabhawit nahi kar saka.Left party kamzor hui. Parantu swis bank me lagbhag 70 lakh crore kala dhan ki bate dhire -dhire des me bahas ka mudda bana jiske daur me hi 2G spectrum me 170 lakh crore k ghotale,CWG me hajaro krore k ghotale,k sath kai muddo par CAG ka report, aadi par sarkari udasinta ki pristbhumi me supreme court me ayar kiye gaye janhit yachika par court dwara monatring ke bad ek par ek rahasyodghatan se des me bharstachar k khilaph ek akrosh paida hua . ek taraf hajaro-lakho kror ke ghaple ghotale or dusare taraf bhukh se maut,kisano ki atamhatyayen or des me sar rahe hazaro to khaddanya ki tasbiro se ahat hokar suprim court dwara garibo ko anaj batne ki bato or khadya surakchha ka prashna utha.Kangresi sansad arjunsengupta ne apane report me kaha ki des ka lagbhag 70 kror ki aabadi ki aaye sirf 70 rupaye hai.Sachar committee report me des k musalmano ka jo chitran kiya hai oh azad bharat k liye kalank jaisa hai.Itane bhedbhaopurn samajik arthik halat ki pristbhumi me des me teji se badh raha naxalbad ka mudda bhi rajya ka chinta ka vishay raha hai.des me sar rahe anazo ko sarkar ne suprim kort k adesh k bad bhi nahi banti kyonki kise bata jaye ahi taya nahi hai. sarkar ne khadya surakchha kanoon banane ki bat bhi ki. suprim kort ne sarkar se khadya surakchha k hakdaro ke bare me puchha to sarkarv ki or se yojna ayog,jiske adhyakchha khud P.M.hain, ne ahi report bhijwa di.**Punjipatiyon k vikas purush or des k kathit arthshastri(garibo k liye anarthshastri)Bhala kaise kah sakte hai ki unki nitiyo k karan garibi badhi hai .isliye garibi ki paribhasha hi badal dene ka jisme garib dikhega hi nahi,yani garib0 ki sankhya khud hin ghat jayegi or manmohan mandali garibi hatane ka tamga lagaye duniya ko batayenge ki bharat me garibi hai hi nahi.
suprim kort ne sarkar se garibi rekha ki paribhasha nahi balki ah puchha tha ki khadya surakchha ka labh ka aadhar yani kaun uske haqdar honge. Yojna ayog ne isi prikchha ka adhar banakar garibi rekha ki paribhasha or mul adhar hi badlne ka nichtapurn karya kiya hai jiska virodh virodhi hi nahi balki kangresi bhi kar rahe hai.Wastaw me jise thori bhi sharam bachi hogi oh kah hi nahi sakta ki az k din,jab mahgai sara rikard tor raha hai or longo ka jina muskil kar diya hai,jahan kamse kam 5 RS. me chai milta ho,khud sarkari RAIL me ,(jo wastao me Ghatiya khana hai) ka 1 khana ka purana dar 35 rupya hai,jise sarkar ka hi IRCTC tay kiya hai woho sarkar 32 or 25 rupya me khana,kapra,padhai,dawaiorjine ka har kharch ki bharpai ka map kahe ushe to chullu bhar pani me dub marni chahiye.
Yojna ayog ne apane tark ka adhar Suresh Tendulkar kamiti ke report ko banaya hai jis se yojna Ayog k hi sadasya Sri Mihir Sah or Sri Abhijit Sen ne bhi iske khilaf hain or ayog k hi bhitar yudha suru hai.Sri sen or sri sah ne kaha hai ki jo sapath patra me kaha gaya hai oh adhikarik line nahi hai.Angrezi dainik Hidu k reort me kaha gaya hai ki sri sah ne saf kaha hai ki" prathamtah,abhitak sarkar ka ah faisla nahi hai ki sarkari karyakarm mekitani sankhya me logon ko labhuk banaya jana hai or uski pahchan kaise hogi."Sri sah ne ah bhi kaha k "vartman me samajik arthik janganana abhi chal raha hai jis se swatah marg prasast ho jayega ki labhuk ka faisla karne me kis pariwar ko chhatna hai(aaye kar data ya pesagat log,aadi)or kise jodna hai(jo grih ya ashiyana bihin hain aadi) Bache longo ka astar abhaw ka kashat k map se taya kiya jayega ,or bibhinna karyakarmo me kis pariwar ko samil karna hai ka aadhar or prathmikta tai kiya jayega."Unhone ah bhi kaha ki oh bayakti jo khadya surakchha ka hakdar mana jayega usko do ya tin nirdharit mapdand,banispat ki uska aaye ka banawati upari sima kya hai.
Sri sah ne kaha hai ki "jarurat hai karyakarm aadharit suchi banane ki jo srijanatmak rup se samajik arthik janganana,jo is varsh ke ant tak pura ho jayega ,ke bibhinn bhago ke ankaro jo uske dwara prapt hoga ka upyog kar labhuk suchi bananeki."Unhone saf kaha ki hame(khadya surakchha k liye)BPL suchi ki jarurat hi nahi hai.
Yojna ayog ka hi ak sadasya saf-saf kahta hai ki har karyakarm ke liye ankaro ka adhar alag hota hai,jaise ki sahri ya dehati garibo k liye awas yojna ya viklango aadi logo ka karyakarm me alag-alag hisso ka ankara aadhar hota hai.sri sah ne to saf -saf kaha ki ho rahe samajik arthik janganana se jo ankare ubhar kar aayenge uski janch gram sabha me kiya jana hai taki log jan sake ki unka vyaktigat aankra sahi hai ya galat,or tab ushe sahbhagitapurn pardarsita ke liye web site par dala jana hai.
Sapath patra ka aadhar ke sandarbh me kaha ja raha hai ki tendulkar samiti ne2004-5 k kimato k adhar par daridrta rekha ko prati mah 447 Rs (Rs 15 pratidin) ka riport kisi anya sandarbh me kiya tha.Ayog k hi sadasya sri sah k anusar "tendulkar samitika abhyas sarkar k garibi unmulan karyakarm niti ka prabhav kitne samaya sima par kaisa par rah hai uska tulnatmak prakalan(estimate)taiar karna tha.Ah kisi bhi rup me sujhao nahi hai ki prastawit khadya surakchha karyakarm me kise haqudar mana jaye.Sri sah ne to anha tak kaha hai ki kort dwara mange gaye khadya surakchha k haqdaro ke aadharo ka uttar dene me bhi phissiddy sabit hui hai." Iska karan bhi batate huey sri sah ne kaha hai ki is nakara sapathpatra taiyar karne walewaise log hain jinko rajnitik unbhigyata hai or dao lagane k liye kuchh bhi nahi hai.
Anreji dainik THE HINDU k anusar sarkari sutra bataya hai ki sapath patra taiyar karne ka kam rajya sabha k ak sadasya jo bartman me rajya mantri bhi hain par chhora gaya tha jisse lakchhanik rup se sarkar ke bhitar khadya surakchha karyakarm k sawal par gambhir matbhed ka pata chalta hai.Sarkar ka saktishali group chahta hai ki khadya surakchha k dayarey me sankhya ghatai jaye .
Prantu iske liye jis besharmipurn dhang se suprim court ko sapath patra dayar kiya gaya hai usase ek bar phir sabit ho gaya hai ki punjibadi shaktiya bhukh or abhao se marne walo par bhi taras nahi khati kyoki unka malik 'punji'ka dil nahi hota.Munafe k liye oh manwta ko raund sakta hai.
Sapath patra me sahar me 32 or dehat me 25 rupaye me 4 admi ka pariwar chal sakta hai ah azadi k 64 sal bad hamari sarkar kahti hai.Wahi Bharat sarkar jiske sachiv ka nyuntam masik wetan aaz 80,000/=rupaye asic+51% D.A.yani48,800=128800 rupaye k sath-sth+H.R.A,atayat bhatta,nagar bhatta,adi anek bhatta milta hai. Ak M.P. apane sansadiye jiwan me kitna leta hai ushe chhoriye, retirehone ke bad bhi free yatra subidha ke alawe kamse kam 25,000 rupaye pention leta hai aur garibi rekha 25 rupaye roz ki bat karta hai.
Hamare des k corporate sector kshirsh adhikariyo ka wetan to chaukanewala hai.Congress k M.p or JINDL STEEL &POWER k PRABANDH NIDESAK sri nabin jindal ka wetan 69.76 crore rupaye,SUN TV network ltd.& SPICE JET k C.M.D. KALANIDHI MARAN ka wetan 37.08 crore,THE SUN TV NETWORK Ltd. k jwaint M.D. KAWERI MARAN ka wetan 37.08 crore rupaye hai-(THE HINDU se sabhar)
Jabse sarkar k yojna ayog ne sapath patra dayar kiya hai tabhi se des k har hisse me khas kar midia ne iski gambhirta dekhte huey longo ki pratikriya or virodh dikha raha hai .parantu itani gambhir baten bhi ak do din bad charcha se hat jayegi ar phir koi naya mudda uthega . jaise ki Anna ke andolan k bad BJP sasit karnatka k purv mantri, mukhya mantri,va mantri par hajaro crore ka mamla dab gaya or adharhin modi mahima gan,2014 k chunao me P.M. ki bat,phir adwani rath yatra,.....jaise mudde ke aad me gambhir mamlo ka follow up nahi hota hai.
des me ek khatanak khel drighkalik yojna se kheli ja rahi hai jiske nisane par gariv janta or uske jantantrik adhikar hain.B J P banam Congress ka khel,sansadiya jantantra ko awamulyit karne ka khel,Bharast punjibadi netao ko alag-thalag karne k badle sabhi netao ko ek hi taraju par rakh kar rajnitik vyawastha ko dodaliye vyawastha k taraf,or sanstha k jagah vyakti ko pramukhta dekar rastrapati sasan ki or le jane ka dirghkalin bhiyan chal raha hai jisme vampanth ko hasiye par le jane ka prayas kafi khatar hai.Usi ki kari k rup me dekha jana chahiye garibo par nit naye hamle ko.jis tarah se manhgi badh rahi hai usme rahat ki bat k badle farji dhang se garibo ki sankhya ghatane ke liye garibo ka majak udaya jana gambhir bate hai.agar sarkar aise hi garibi ghatane ya garibi kam karne ka swang karegi to jantantrik vyawastha par khatra ko nahi roka ja sakta hai.
Punjibad ek waisi padhati hai jo bolti oh karti nahi aur jo karti hai oh hamesa chhadm rup me.Ah satya ko vesharmi se nakarti hai. Oh jantantra ki bat kartihai,janata se vote leti hai aur usi janata ko apane asli agenda se door rakhti hai . tabhi to ajadi k 64 sal bad jo des ki tasvir ubhari hai awamamiri aur garibi ki khai kitni chauri hui hai arjun sengupta committee ki riport iska kacha chitha hai. Sarkar dwara banai gai do kamitiyon 1-Muslim alpsankhyako ki halat janane k liye bani SACHHAR kamiti or aam longo ki halat ki janch k liye bani arjun sengupta kamiti report des me arthik asamanta ya youn kahen ki des me chalai gai arthik nitiyon ka ahi parinam hai.
21win sadi ke bharat me bhukh,abhao or garibi se maut ki khabre,karj me dube kisano ki atmahatya ki khabrey,garibi or tanhali se ubkar hathiyar uthane ki khabre,naxal andolan or bekari se tang paresan longo me ubharraha janasantos ko rokane ke liye hi sahi,MNREGA-Khadya surakchha sahit janhit ke nam par sarkari khajane se jari kalyan karyakarm bhi apratykchha rup se punjibadi mandi kam karne ke liye janata ki kraya sakti badhakar punjibad ko madat pahuchane ka tarika hai.Is kalyan karyakarm se garibi ghatati nahi balki thora rahat matr milta hai.
Dukhad bat ah hai ki sarkar k nitiyon k karan bhari sankhya me badhi garibi ko nahi swikarna ek pharev se bhara acharan hai.Agar sahar me 35 rupaye or gaon me 25 Rs jine k liye kafi hai to woise longo ke vote se M.P.banane wale ka kitna wetan hona chahiye,ya yojna ayog ,jo aisa sapath patra dayar kiya hai uske upadhyakchha sri AHLUWALIA ka bhi wetan kitna hona chahiye.
Kisi bhi sabhya samaj me jine k liye kamsekam kitni kalori ka khana milani hahiye ohi adhar banata hai nyuntam wetan taya kane me.Isliye nyuntam wetan ki aaya hi garivi rekha ka manak hona chahiye,jise nakarna ya jhuthlana ya ankaro se bharamit karna ek aparadhik karya hai.
Pure des me yojna ayog k is gande chal, jisme garivo ki sankhya kam dikhane k liye,aisa kiya gaya,ka virodh huaa.Khud sarkar or yojna ayog k bhitar bhi is kadam ki ninda suni gai jise bahut chalaki se salat lene aur mamle ko daba dene me yojna ayog ne safalta pa li. apane sapath patra ko khadya surakchha bill k prasang se alag batakar mamle ko daba diya gaya lekin sapath patra abhi bhi suprim kort me hai jo garivi ki paribhasa ka adhar hoga.
Is punjibadi sajis or shadyantra ko nakam karne k liye,or inke jhuth or pharev ko bepard karne k liye garibo ko ekjut hona hoga.Jabtak gariv mirgatrishna me bhatakte rahenge or divaswapna dekhate rahenge,punjibadi parpanch k sikar hote rahenge,jiski buniyad hi jhuth aor pharev hai.
*********Vidya Sagar Giri*******

Tuesday, September 6, 2011

javascript:void(0)

Home | साइकिल से सोने के सिंहासन तक

खनन के काले कारोबार से कर्नाटक में सामानांतर सरकार चलाने की कुबत रखने वाले रेड्डी बंधुओं के पाप का घड़ा आखिर भर ही आया। सीबीआई ने इन पर नकेल कसकर फिलहाल 14 दिन तक न्यायिक हिरासत में डाल ही दिया। क्या कभी आपने सोचा होगा कि रेड्डी बंधुओं की ताकत का राज क्या रहा है, जिसके कारण पिछल्ले कई वर्षों से चल रहे उनकी अवैध सामराज्य का कोई कुछ भी नहीं बिगाड़ पा रहा था। आइये दिखते हैं साइकिल से चलने वाले मामूली आदमी के सोने के सिंहासान तक सफर की झलक। गरीबी में हुए पैदा
गली जनार्दन रेड्डी किसी अमीर परिवार में पैदा नहीं हुए. पुलिस कांस्टेबल चेंगा रेड्डी के घर में 1967 को पैदा हुए गली जनार्दन रेड्डी ज्यादा स्कूली शिक्षा नहीं ले सके और दसवीं के बाद ही पढ़ाई छोड़नी पड़ी. पढ़ाई छोड़ने के साथ गली जनार्दन रेड्डी कमाई के लिए सड़कों पर निकल पड़े. चिटफंड कंपनी के एजंट बनकर साइकिल उन्होंने गली गली घूमकर पैसा जोड़ना शुरू कर दिया. नब्बे तक ऊंचे ख्वाब को आंखों में लिए जनार्दन रेड्डी कौड़ी कौड़ी जोड़कर अमीर बनने का सपना देख रहे थे. लेकिन उन्हें महसूस हुआ कि इस रास्ते उतना अमीर नहीं हुआ जा सकता जिसका सपना वे अपने मन में संजोए हुए हैं. इसलिए उन्होंने राजनीतिक पैठ बनानी शुरू की और समय के साथ उन्हें वह सबकुछ हासिल होता गया जिसकी वे कल्पना भी नहीं कर सकते थे.Iske liye usane1998-99me bellari k chunao jisme sonia gandhi ke khilaf BJP ne susma swaraj ko umidwar banaya tha me madam susma ko GODMOTHER k rup me swikar kar apni rajnitik jagah banai aur iron ore ke dhandhewale bellari ki rajnit ka oh sirmaur ban gaya.Kahajata hai ki PAISA KHUDA TO NAHI LEKIN KHUDA SE KAM BHI NAHI HAI ki ukti ko charitarth karte hua reddy bandhu ne do rajyon k rajniti ki badsahat hasil kar li.ANGREJI DAINIK THE HINDU ne likha hai "Ah kahna prasangik hoga ki sayad itihas me pahlibar,jiska koi dusra udaharan nahi hai, ki ek hi pariwar arthik aur rajnitik rup se satta ka kendra(centre of power) ban gaya ho." Oh fir likhata hai ki "sirf panch baras ki alapawadhi se bhi kam samay me ak aam or sadharan admi duniya k louh ayashk bajar ka shirsh milkiyat liye na sirf kafi dhanwan bana balki zila k rajniti k sirmaur bankar apna rajnitik vistar rajya awam rastra ke rajniti tak pahucha diya." Wastao me reddy bandhu ne do rajyo ki sarkaro ko isaron par chalane k sath kendra sarkar se bhi har ichhit ades prapt karne me safal hote huey kangres or bhajpa ke charitron ka nakab utar diya hai. tabhi to dono besharmi se laj pachane ke liye ek dusare par dur chhi dur chhi kar rahe hai.
राजा की तरह ठाठ Kangres ki paidawar our Bjp ka dattak putra Reddy bandhu Bhajpa ko karnatka me satta tak pahuchanewala ak itihaspurus ban baitha jo dakchhin ke do rajyon ki rajniti awam offisersahon ko rakhail jaisa upyog karta tha.Tabhito 2009 me kes darj hone k bad c b i ne 10 disamber ko pahli chhapemari ki thi.A p uchh nyayalya ke asthagan ades k bad mamla daba paratha jo is salkhulne k bad ah karwai hue hai.Is karwai ke bhi piche karnatka ke lokayukta sri justice santos hegde ka 27 julai ko saupa gaya abadh khanan ka report hai jisme reddy bandhu ke kukarmo ka bhari sabuto k sath kachha chitha hai .Sanad rahe ki justis hegare ANNA HAZARE team k ak sadasya hain jo 31 july ko ritayar kar gaye aur BHARASTACHAR k virudh andolan k ak mukhar byakti hai .Karnatka lokayukt k isi report k bad wanha k c m yadurappa ko istifa dena pada aur bhajpa ki halat sanp chhuchhundr wali ho gai thi jise oh ANNA k andolan ko saport kar apni chhabi sudharna hi chah rahi thi ki ah bajrapat hua hai jisse bachane ke liye ek ghara kanni kata raha hai to dusra ghara besharmi se use klinchit dete huey kes se bedag bahar nikalne ki bat kah rahe hain.
लौहअयस्क खनन में अनियतिताओं को लेकर सालों से सुर्खियां बटोर रहे कर्नाटक में ex BJP मंत्री, बेल्लारी के मशहूर रेड्डी बंधुओं के ठाठ-बाट बिल्कुल राजा-महाराजाओं सरीखे है। Ho bhi kyon nahi? Tin bhai me do bhai rajya ka mantri or ek bhai m.p or bijness partner bhi mantri or darjan se adhik mla poket or jute ke suptalla me ho to bhala kaun bolega. बेल्लारी में अवैध खनन के मामले में रेड्डी के घर सोमवार को छापे के दौरान 4.5 करोड़ रुपए नकद, 30 kg sona, 1530dastawej, 4 ragister awam 1 leptop बरामद होने की बात सीबीआई कह रही है। CBI k sanjukta nidesak sri V.V.Lakchhaminarayan k anusar andhara pradesh k 2009 k case me IPC ki dhara120B,420,379,411,427,or 447 k sath Privention of krapsan act, ban sangrakchhan kanoon, or khan or khanij adhiniyam ke antargat giraftar kiya gaya hai. Isse alag karnatka ke lokayukta ka riport jo rajyapal ko 27 julai 2011 ko saupa gaya hai ko karnatka sarkar abhi bhi dabakar rakhi hai. Purv lokayukta sri hegde ne karnatka mamle ko bhi CBI KO SOUPANE KI MANG KI HAI. aGAR LOKAYUKTA KI REPORT JO TATHYO OR SAKCHHAYO SE BHARPUR HAI KI JANCH KIYA JAYE TO RAJYA KE RAJNITIK BEUROCRATE OR VYAPARIYON OR DALALON KA AISA UDBHEDAN HOGA JISME BHAPA SASIT KARNATKA ME RAJNITIK SUNAMI AAJAYEG OR anna ke pichhe umare jansailao ka hakikat ujagar hoga. Abhi to pura tathya aana baki hai lekin reddy bandhu ke dhithae ka pata isi se chalta hai ki jab 2010 me lokayukta ka chhapa pada tha to karoro ki sampatti ka arop laga to reddi baondhu ne akar k sath khud apni sampatti ka beyora देते हुए रेड्डी ने सबको चौंका दिया था। रेड्डी को सोने का काफी शौक है। तभी इनकी कुर्सी से लेकर बेल्ट तक सोने से बने हुए हैं। जनार्दन रेड्डी जिस सोने की कुर्सी पर बैठते हैं उसकी कीमत 2.2 करोड़ रुपए है। और इनके द्वारा इस्तेमाल किए जाने वाले सोने के बेल्ट की कीमत 13.15 लाख रुपए है। रेड्डी के घर में मौजूद सोने की थाली, कटोरी, चम्मच और चाकू जैसी चीजों की कुल कीमत 2.87 karor रुपए है। जनार्दन रेड्डी के पिता एक सिपाही थे और जनार्दन कभी साइकिल पर अपने कस्बे में घूमा करते थे। रेड्डी ने 21 साल की उम्र में अपनी कंपनी इनोबल इंडिया सेविंग्स एंड इंवेस्टमेंट कंपनी लि. शुरु की थी। यह कंपनी चली नहीं और कुछ सालों बाद बंद हो गई। उस समय लोहे के अयस्क यानी आयरन ओर का व्यवसाय शुरु किया। इस धंधे ने उन्हें और कर्नाटक के छोटे से कस्बे बेल्लारी का नाम पूरे भारत में फैला दिया।
20 जून 2010 को रेड्डी ने खुद लोकायुक्त के सामने दस्तावेज में जो जानकारी दी, उसके मुताबिउनके पास सोने क रेड्डी ने तीन पन्नों पर सिर्फ अपनी ज्वेलरी के बारे में जानकारी दी जिनकी कीमत करोड़ों में है। की चूडियां, कीमती रत्न, सोने के पेंडेंट, नेकलेस, ईयररिंग्स, पुरुषों की ज्वेलरी, अंगूठियां, सोने की दूसरी चीजें और भगवान की सोने की मू कृषि भूमि, बिल्डिंग्स और पैतृक संपत्ति को छोड़ जनार्दन रेड्डी के पास करीब 153.49 करोड़ की संपत्ति है। रेड्डी ने अपने बिजनेस से करीब 31.54 करोड़ रुपये की सैलरी पाने की भी बात लिखी थी।

मित्तल को भी पीछे छोड़ा
दुनिया की सबसे बड़ी इस्पात निमार्ता कंपनी आर्सेलर मित्तल लिमिटेड भी रेड्डी बंधुओं के आगे बौनी है। बहुत ज्यादा दिन नहीं हुए जब आर्सेलर मित्तल ने 30,000 करोड़ रुपये के निवेश वाले समझौता पत्र पर हस्ताक्षर किया तो रेड्डी बंधुओं की ब्राह्मणी इंडस्ट्रीज कर्नाटक लिमिटेड ने 36,000 करोड़ रुपए के निवेश संबंधी प्रस्ताव पर हस्ताक्षर किया। खनन सम्राट के नाम से मशहूर रेड्डी बंधुओं के दबदबे का अंदाजा इसी से लगाया जा सकता है कि आर्सेलर मित्तल समेत अन्य कई कंपनियों ने बेल्लारी जिले को ही अपनी परियोजना के लिए प्रमुख स्थल के रूप में चुना।

215 करोड़ देश के बाहर!
रेड्डी बंधुओं का पैसा देश के बाहर गया है। कर्नाटक के लोकायुक्त संतोष हेगड़े की रिपोर्ट में इसका जिक्र किया गया है। रिपोर्ट के मुताबिक राज्य के अधिकारी हवाला कारोबार में लिप्त हैं और उन्होंने ही रेड्डी बंधुओं का पैसा विदेशी बैंकों में पहुंचाया है। लोकायुक्त की रिपोर्ट में अनुमान लगाया गया है कि रेड्डी बंधुओं और करीबी बी श्रीरामुलु के 215 करोड़ रूपए देश से बाहर गए हैं। कर्नाटक के लोकायुक्त की टीम में शामिल जांच अधिकारी यूवी सिंह के मुताबिक रेड्डी बंधुओं ने अपनी कंपनी ओबुलापुरम माइनिंग कंपनी (ओएमसी) के जरिए कथित रूप से पैसा विदेशी बैंकों में जमा कराया है। सिंह के मुताबिक इस के पुख्ता सबूत हैं। रिपोर्ट के मुताबिक ओएमसी ने सिंगापुर की कंपनी जीएलए ट्रेटिंग कंनपी इंटरनेशनल को 20 कंसाइनमेंट भेजे जबकि उनका ज्यादातर व्यापार चीन के साथ होता है। अधिकारियों के मुताबिक जीएलए ने 30 नवंबर 2007 को जी जर्नादन रेड्डी को अपना निदेशक बताया है। जीएलए के सिंगापुर, दुबई और ब्रिटिश वर्जिन आईसलैंड में कार्यालय हैं। इन तीनों जगहों को टैक्स हेवन माना जाता है।

चलती रही है समानांतर सरकार
कर्नाटक में रेड्डी बंधुओं की समानांतर सरकार चलती रही है। येदियुरप्पा सरकार में तो रेड्डी बंधुओं के दबाव में येदियुरप्पा तक को झुकना पड़ा था और उन्हें शोभा करंदलजे को मंत्रिमंडल से हटाना पड़ा था। शोभा येदियुरप्पा की करीबी मानी जाती थी।

35 लाख टन लौह अयस्क के मायने
कर्नाटक के लोकायुक्त संतोष हेगड़े ने पिछले कुछ माह से इन दोनों भाइयों के खिलाफ जांच की और पाया कि बिलिकेरे बंदरगाह से 35 लाख टन का लौह अयस्क गायब कर दिया गया है। यह कम आश्चर्य की बात नहीं थी कि 35 लाख टन का लौह अयस्क कैसे गायब हो सकता है? लेकिन ऐसा हुआ है। बहुत कम लोग अपनी बुद्धि से यह समझ पाएंगे कि 35 लाख टन लौह अयस्क के मायने क्या हैं। न्यूयॉर्क की प्रसिद्ध एम्पायर स्टेट बिल्डिंग का वजन अंदाजन साढ़े तीन लाख टन होगा, दूसरे शब्दों में कहें तो रेड्डी बंधुओं ने लगभग दस एम्पायर स्टेट बिल्डिंग को हवा में गायब कर दिया है। आज की तारीख में लौह अयस्क की अंतरराष्ट्रीय कीमत लगभग 145 डालर प्रति टन है, यदि इसे हम 130 डालर भी मान लें और इसमें से 30 डालर प्रति टन ट्रांसपोर्टेशन और अन्य खर्चों के तौर पर घटा भी दें तब भी 35 लाख टन के 100 डालर प्रति टन के हिसाब से कितना हुआ?

इनके सामने बच्चे हैं दूसरे घोटालेबाज
विधानसभा में मुख्यमंत्री येद्दियुरप्पा ने लिखित में स्वीकार किया है कि सन् 2007 में (जब भाजपा सत्ता में नहीं थी) 47 लाख टन लौह अयस्क का अवैध खनन और तस्करी हो चुकी है। इस तरह के कारनामों को सहज ही अंजाम देने की ताकत रेड्डी बंधुओं में रही है। इस ताकत के आगे तो दूसरे तमाम घोटालेबाज नेता बच्चे हैं। अथाह पैसे के कारण रेड्डी बंधुओं की जेब में कई विधायक हैं जो जब चाहे सरकार गिरा देंगे। इसलिए इन लोगों का कुछ भी बिगड़ता नहीं दिख रहा है।

एक ईमानदार अफसर ने दर्ज किया केस
मामले की शुरुआत तब हुई, जब एक और ईमानदार फॉरेस्ट अफसर आर गोकुल ने कर्नाटक के बिलिकेरे बंदरगाह पर 8 लाख टन का लौह अयस्क अवैध रुप से पड़ा हुआ देखा। उन्होंने तत्काल विभिन्न कंपनियों और रेड्डी बंधुओं पर केस दर्ज कर दिया। नतीजतन, जैसे 35 लाख टन लौह अयस्क गायब हुआ, आर गोकुल को भी दफ्तर से गायब कर दिया गया। सूत्र कहते हैं कि उन्हें गायब किया रेड्डी बंधुओं के खास व्यक्ति यानी पर्यावरण मंत्री जे कृष्णा पालेमर ने। इस मंत्री ने उस ईमानदार अधिकारी को निलंबित कर दिया।

लोकायुक्त ने कसी नकेल
लोकायुक्त संतोष हेगड़े हमेशा ईमानदार अधिकारियों का पक्ष लेते रहे हैं। उन्होंने मामले में दखल दिया और कर्नाटक सरकार को रेड्डी बंधुओं पर नकेल कसने को कहा। अब भला येद्दियुरप्पा की क्या हिम्मत कि वे रेड्डी बंधुओं के खिलाफ कुछ कर सकें, उन्होंने मामले को लटकाना शुरू कर दिया। खुद येद्दियुरप्पा ko, रेड्डी बंधुओं के दबाव में उन्हें उनके मनचाहे मंत्री और अफसर रखने/हटाने पड़ते थे। पूर्व मुख्यमंत्री और वर्तमान मुख्यमंत्री को पता है कि जिस दिन रेड्डी बंधुओं का बाल भी बांका हुआ, उसी दिन कर्नाटक सरकार गिर जाएगी, जैसे रेड्डी बंधुओं से पंगा लेने पर कुमार स्वामी की सरकार गिर गई थी। बार-बार आग्रह करने के बावजूद जब कर्नाटक सरकार ने हेगड़े की बातों और सुझावों पर अमल नहीं किया तो हताश और निराश हेगड़े ने लोकायुक्त पद से त्यागपत्र दे दिया। लोकायुक्त के त्यागपत्र से राज्य की राजनीति में फिर हलचल आई। कांग्रेस-जद (एस) को मुद्दा मिा और उन्होंने विधानसभा में धरना दे दिया। जस्टिस हेगड़े ने मुख्यत: इस बात की ओर ध्यान आकर्षित करवाया कि समुद्र तट से मीलों दूर अवैध खदानों में अवैध खनन हो रहा है। खदान से बंदरगाह तक पहुंचने के बीच कम से कम 7 जगह प्रमुख चेक पोस्ट आती हैं, लेकिन किसी भी चेक पोस्ट पर लौह अयस्क ले जा रहे एक भी ट्रक की एंट्री नहीं है, ऐसा तभी संभव है जब पूरी की पूरी मशीनरी भ्रष्टाचार में सनी हुई हो। जस्टिस हेगड़े ने अपने बयान में कहा है कि 35 लाख टन अयस्क की तस्करी रातों रात होना संभव ही नहीं है, यह पिछले कई वर्षों से जारी रही है।

सरकार ने कहा, कानून अपना काम करेगा
खनन कारोबारी और भाजपा के पूर्व मंत्री जी जनार्दन रेड्डी और उनके साले को कर्नाटक में सीबीआई द्वारा गिरफ्तार किये जाने के बीच सरकार ने कहा कि इस मामले में कानून अपना काम करेगा। संसदीय कार्य राज्यमंत्री राजीव शुक्ला ने कहा, आप सभी जानते हैं कि सरकार सीबीआई के कामकाज में हस्तक्षेप नहीं करती है। सीबीआई इस मामले की जांच कर रही है और वह अपनी जांच के अनुरूप आगे बढ़ रही होगी। शुक्ला ने कहा कि जहां तक बेल्लारी बंधुओं का सवाल है, कानून अपना काम करेगा।

तब आएं चर्चा में .....जब 800 हीरों से जड़ा मुकुट चढ़ाया
रेड्डी बंधुओं ने श्रीकलाहस्ती मंदिर में 800 हीरों से जड़ा एक मुकुट (वज्र किरीटम) और स्वर्ण जड़ित एक साड़ी (बंगारु चीर) चढ़ाई तो इस खबर को पढ़ने-सुनने वालों के लिए आश्चर्य का ठिकाना नहीं रहा। उस चढ़ावे की कीमत लोग 10 से 15 करोड़ रुपये के बीच लगा रहे। बताया कि गया 800 हीरे जुड़ित मुकुट को दक्षिण अफ्रीका से बनवाकर लाया गया था। इसके अलावा गहने में लगभग 13 किलो सोने का इस्तेमाल हुआ बताया गया था। तब रेड्डी बंधुओं ने बताया था कि उन्होंने श्रद्धा से वशीभूत होकर यह भेंट चढ़ाई है। कीमत पूछने पर कहा था कि श्रद्धा की कीमत पैसे में नहीं लगाई जा सकती है। वर्ष 2009 में भी रेड्डी बंधुओं ने तिरुपति के भगवान वेंकटेश्वर मंदिर में हीरे जड़ित मुकुट चढ़ाई थी, जिसकी कीमत 45 करोड़ रुपये में आंकी गई थी।

ये है जलवा
2 करोड़ 20 लाख की सोने की कुर्सी पर बैठते हैं
2 करोड़ 58 लाख कीमत की भगवान की प्रतिमा
13 लाख 15 हजार का बेल्ट पहनते हैं
उड़ने के लिए चार हेलिकॉप्टर
खाने के लिए 21 लाख को वर्तन
31 लाख की मासिक वेतन
215 करोड़ विदेशों में जमा

Monday, September 5, 2011

Karnataka Lokayukta Full Report

Karnataka Lokayukta Full Report

The Lokayukta report on illegal mining on Wednesday strongly indicted Karnataka Chief Minister B.S. Yeddyurappa, Reddy brothers and various others and recommended their prosecution under Prevention of Corruption Act and other laws.
In damning evidence against the chief minister, the Lokayukta headed by former Supreme Court judge Justice Santosh Hegde found that a mining company had donated Rs. 10 crore to a trust managed by his family members which also sold a piece of land to a mining company for Rs. 20 crore far above the guidance value of Rs. 1.4 crore.
Ater submitting the report running into 25,228 pages including annexures, Hegde told a press conference that he has named Chief Minister B.S. Yeddyruppa, former chief minister and JDS leader H D Kumaraswamy, Reddy brothers (who are ministers and mining magnates), their camp follower and another minister H. Sriramulu, Congress MP Anil Lad's wife and over 600 officials in the mining racket that cost the exchequer Rs. 16,085 crore between 2006 and 2010.
"Having come to the conclusion that there is as a matter of fact an offence made under the Prevention of Corruption Act I have made a recommendation to the Governor to take further action," Hegde said in respect of the donation made to the trust run by the Chief Minister's family members.
At another point, he said, "I have made a recommendation for prosecuting everybody. I have stated this to the Governor. It is for him to act."
To a question, he shot back,"Action under Prevention of Corruption Act should be taken. What else?."
The report castigated the BJP government, which is in power since May 2008, for its failure to check irregularities and illegalities in mining in the state.
"The enquiry has found large scale involvement of officials, powerful people both in the Administration as well as in the ground level," said Hegde whose main report runs into 943 pages.
Hegde said in the course of investigations they found that a company dealing in iron ore donated Rs. 10 crore to the trust run by family members of the chief minister.
From the trust, a mining company purchased an acre of land for Rs. 20 crore far above the guidance value of Rs. 1.40 crore, he said.
"This payment has been made to the trust which has nothing to do with the donating company which has not been doing well but borrowed money from another company and donated this. I find this extremly difficult to understand this abnormal high price.
"We have come to an incontrovertible conclusion that this donation and sale consideration has been made for reasons other than genuine reasons." he added.
Replying to questions, Hegde confirmed that the report makes a mention of the CM, his family members, Reddy brothers, Sriramulu and Kumaraswamy and over 600 officials.
In the case of Kumaraswamy, the enquiry found "misconduct" on his part regarding grant of two mining leases and action has been recommended under PCA.
Referring to the purchase of one acre of land in Rachenahalli on Bangalore outskirts for a consideration of Rs. 20 crore when its guidance value would not be more than Rs. 1.4 crore, he described this as "abnormal payment to a trust which has nothing to do with a donating company which was not financially strong".
Hegde said he found it extrememly difficult to accept that a company which did not have financial resources should borrow from other companies to make donation.
"Therefore, having come to the conclusion that there is an offence under the Prevention of Corruption Act is made, I have made recommendation to the Government to take further steps (against Chief Minister B.S. Yeddyurappa) in this regard because the competent authority for taking action against the chief minister is governor of the state".
He said the Lokayukta has submitted the report to the government and a copy of the report with annexures have been sent to the Governor for "further action" (in regard to the chief minister).
On Reddy brothers, Hegde said contrary to their claim that they were not doing any mining in Karnataka, "we have enough documents to prove to the contrary."
He said the illegalities found were of different types as has been enumerated in different chapters and supported by documents.
"The offences committed by various people and companies will be covered under various acts and action will be taken in accordance with law under IPC, Forest Act, FMRDA and PCA," he added.
Hegde said the Lokayukta has recommended that since various illegalities and irregularities were committed the Government should cancel the mining licenses, compute the quantity of loss and treat it as "stolen iron ore" and recover money from people concerned at the market rate.
The Lokayukta enquiry found that there was rampant illegal mining in Bellary, Chitradurga and Tumkur because of which local people suffered from various problems.
"Once illegal mining is stopped the Central and the State government can recover lakhs of crores of rupees as Excise and VAT," he said, adding over 100 companies were involved in illegal mining.
Hegde has also recommended to the Government that security be provided to his team of officers since they could face possible threats from some quarters.
The enquiry team had a huge task in examining four lakh records and collating nearly 50 lakh entries in the effort to produce the report.


Read more at: http://indiatoday.intoday.in/story/karnataka-lokayukta-report-on-mining-scam-submitted/1/146274.html?cp